Wednesday 11 May 2016

ghazal

0

Kisne mujhe jaga diya

Kiske khirame naaz ne kabra main dil hila diya
chain se so raha tha main, kisne mujhe jaga diya.

Tum ho ajube jan lo kerte ho mujh se dil talab
Ab tumeh dil se kya garaj tumne to dil jala diya.

Pooncha na jeete jee kabhi derde jigar ka majra
Kabra pe ab wo aaye hain khaak main jab mila diya.

Jao sidhaaro meri jaan tum to Khuda ki ho amman
Bichure hue milenge fir, kismat ger mila diya.


Zindgi per kitab likhunga…


Zindgi per kitab likhunga…
Us mai sarey hisab likhunga….
Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhunga..,
Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga…..
Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhunga….
Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhunga….
Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhunga…

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vada Bankar
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Ye gazlo ki duniya bhi ajib he,
yaha aasuo ka b jaam banaya jata he.
Keh bhi dete he agar dard-e-dastan,
fir bhi vah-vah hi pukara jata he…

Teer Chahiye Nahi..
Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye
Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye
Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye
Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye
Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye
Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye
Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye
Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye
Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi
Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye
Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me
Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye…

Apna keh ker ab kis ko pukaroon gi mai…
Apna keh ker ab kis ko pukaaroon gi main
Yai zindagi hai katthin,issey kis terha guzaroon gi main
Koi miley sachchahamderd or maseeha jo mujhey
Baakhuda hoasla, phir na kabhi haroon gi main
Meri zindaagi kai hain bas chund roz hi baaqi
Phir ab! inhain kis kai liyai sanwaaron gi main
Mujhey Apni jaan piyaari nahi hai phir bhi
Yai qeemti shay hai, issey kis pai waroon gi main
Mah ko koi tujh sa nazer nahi aata
Yai bataa! terey badley kisko pukaroon gi main.

0 comments:

Post a Comment